wo nazar mehrban kya hogi dil ki duniya jawan kya hogi sunne wala hi jab nahin koi dastan phir bayan kya hogi hain jo parwarda-e-khizan yaro in bahaaron mein jaan kya hogi jo sar-e-sham hi bikhar jae aisi mahfil jawan kya hogi jo pale pastiyon ke sath 'khalish' un ki unchi udan kya hogi