wo zindagi jo tere pyar mein basar na hui thi aisi raat ki jis ki kabhi sahar na hui unhi ki chah mein ye haal ho gaya mera magar unhi ko mere haal ki khabar na hui sulagti rahon pe saya tha kis ki palkon ka ye kaun kahta hai is samt wo nazar na hui har ek mod pe dil ne tujhe talash kiya kisi bhi lamhe tamanna ye muntashar na hui 'khalish' ye puchhta phirta hai aabshaaron se ki kyon ye wadi-e-gul teri rahguzar na hui