wo nichi nigahen wo mauj-e-tabassum abhi dushman-e-ashiyan aur bhi hain falak ki hi bijli se ghabra raha tha zamin par abhi bijliyan aur bhi hain ye shakh-e-nasheman mita kar o nadan tera maqsad-e-dil mukammal na hoga rag-e-gul kali ki chatak tab-e-shabnam chaman mein mere aashiyan aur bhi hain fazaon mein ye gungunati hawaen ufuq mein ye bahte hue chand tare mere ham-nawa naghma-zan aur bhi hain mere ham-safar karwan aur bhi hain ise apna ijz-e-takallum samajh lun ya un ka hai ye aarifana tajahul ki jab bhi safai ki koshish kari hai hue mujh se wo bad-guman aur bhi hain na matlab buton se na matlab khuda se bigadte hain dair-o-haram to bala se dar-e-shahidan naqsh-e-pa-e-shahidan jabin ko meri aastan aur bhi hain abhi to faqat waiz-e-mohtaram ne hi mimbar pe farmai hai gul-fishani dilon mein abhi aur talkhi badhegi ki mahfil mein shirin-bayan aur bhi hain