wo niyaz-o-naz ke marhale nigah-o-sukhan se chale gae tere rang-o-bu ke wo qafile tere pairahan se chale gae koi aas hai na hiras hai shab-e-mah kitni udas hai wo jo rang rang ke aks the wo kiran kiran se chale gae koi un ki aankhen sarahta koi wahshaton se nibahta ki wo aahuwan-e-ramida-khu ye suna khutan se chale gae kai mehr-o-mah utar aae the wo yahin the mere ghar aae the wo kali kali se dar aae the wo chaman chaman se chale gae mere dil ki aab-o-hawa lagi ki wafa bhi un ko khata lagi wahi sadgi se jo aae the wahi bankpan se chale gae na to kufr ke na khuda ke hum na dawa ke hum na dua ke hum ki butan-e-kaba-e-arzu dil-e-barhaman se chale gae ye mera fareb-e-nazar nahin mere ham-qadam the yahin kahin mujhe aahaten bhi na mil sakin wo bade jatan se chale gae ye baja ki tohfa-e-jaan liye tere pas aae the be piye wo gadagaran-e-tahi-subu tere husn-e-zan se chale gae yahi tujh se apna tha wasta yahi thi hayat-e-muashqa teri khalwaton ke sharik the teri anjuman se chale gae pas-e-umr bazu-e-shauq par sar-e-naz tha to hui khabar kai rat-jage tere gesuon ki shikan shikan se chale gae wo bujhe bujhe wo lute lute sar-e-rah 'shaz' mile to the unhen ab watan mein na dhundiye ki wo ab watan se chale gae