wo numayan hai yun hazaron mein

wo numayan hai yun hazaron mein
jis tarah chand ho sitaron mein

jalwa-e-yar kis tarah dekhun
meri nazren hain gum nazaron mein

ai bahaaron ke lutne walo
tum bhi kho jaoge bahaaron mein

dosti rah gai hai matlab ki
ab kahan hai khulus yaron mein

koi samjha koi nahin samjha
baat wo kah gae ishaaron mein

teri taqrir sun ke ai waiz
khalbali hai gunahgaron mein

din mein khurshid jab chamakta hai
phir nahin rahti zau sitaron mein

aur to kuchh nahin 'aziz' magar
hum bhi shamil hain baada-khwaron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close