nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane

nur-e-iman ko badhao to koi baat bane
apne baatin ko sajao to koi baat bane

ilm ki shama jalai hai bahut logon ne
zulmat-e-jahl mitao to koi baat bane

hasidon ko kabhi khush hone ka mauqa na mile
un ko tum khub jalao to koi baat bane

sakht dushwar hai ye rah-e-mohabbat ka safar
us pe khud chal ke dikhao to koi baat bane

dil kisi ka bhi dukhana nahin achchha hota
rote logon ko hansao to koi baat bane

ilm hai jin ka faqat lafz-o-bayan tak mahdud
ba-amal un ko banao to koi baat bane

husn-e-akhlaq ki tasir yaqini hai 'aziz'
is se dushman ko dabao to koi baat bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close