wo pahle fikr ko harf-e-kamal deta hai

wo pahle fikr ko harf-e-kamal deta hai
phir aagahi se sukhan ko ujal deta hai

mujhi ko log bahut sakht-jaan samajhte hain
mujhi pe har koi patthar uchhaal deta hai

wo aks ban ke utarta hai jab bhi aankhon mein
tamam aaine dil ke ujal deta hai

mohabbaton ka use meri e'tibar nahin
magar raqibon ko meri misal deta hai

kisi ko phul se lagte hain ishq mein patthar
kisi ko tesha bhi shauq-e-visal deta hai

'sukhan' hayat mein kuchh aise mod aate hain
har ek lamha khushi ka malal deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close