wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein

wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein
hun wahm-e-judai se ajab ranj-o-mehan mein

maqsud ziyarat hai agar kaba-e-dil ki
ho garm-e-safar nahiya-e-mulk-e-watan mein

wo qamat-e-dilkash hai ajab fitna-e-alam
chhupta hi nahin pairahan-e-naud-kuhan mein

ai shama baha ashk chhupa raaz-e-mohabbat
khakistar-e-parwana hai betab lagan mein

shorish meri beja hai na fariyaad nikammi
raunaq hai zara nala-e-bulbul se chaman mein

tasir ho kya khak jo baaton mein ghadat ho
kuchh baat nikalti hai to be-sakhta-pan mein

kam-tar hai do o dam se insan ba-maraatib
har dam jo taraqqi na kare chaal-chalan mein

hun main to wahi moatakif-e-gosha-e-uzlat
haalanki mera rekhta pahuncha hai deccan mein

ye sach hai ki sauda bhi tha ustad-e-zamana
meri to magar 'mir' hi tha sher ke fan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close