wo parde se nikal kar samne jab be-hijab aaya jahan-e-ishq mein yak-bargi ek inqalab aaya zamin ke zarre zarre se numayan ho gae jalwe sar-e-gulzar wo rashk-e-qamar jab be-hijab aaya mukarrar zindagani ka maza ho jaega hasil dam-e-akhir bhi qasid le ke gur khat ka jawab aaya muqaddar se mere donon ke donon bewafa nikle na umr-e-bewafa palti na phir ja kar shabab aaya wafur-e-sharm se us aaftab-e-husn ke aage jahan ka har hasin dale hue munh par naqab aaya dil-e-betab-o-taqat ko tasalli kuchh hui hasil payam us but ke aane ka jo waqt-e-iztirab aaya ajab pur-kaif aalam hai zamana mast hai 'anwar' ki un ke chaudhwin man mein nazar rang-e-sharab aaya