wo pau phati wo kiran se kiran mein aag lagi wo shab ki zulf-e-shikan-dar-shikan mein aag lagi sulag uthi wo rida-e-nujum-o-kahkashan wo dekh daman-e-charkh-e-kuhan mein aag lagi nashat-e-garmi-e-mahfil thi jis ki tabani isi charagh se kyun anjuman mein aag lagi hazar shams-o-qamar bujh gae pa ye na bujhi ye kis diye se patangon ke man mein aag lagi tamam umr ke aansu use bujha na sake jo dil se ta-ba-jigar dam-zadan mein aag lagi bhula sakegi na duniya ye hadisa ki 'adib' charagh-e-lala-o-gul se chaman mein aag lagi