dayar-e-jaan pe musallat ajab zamana raha ki dil mein dard labon par rawan tarana raha kisi pe barq giri shakh-e-jaan sulag utthi kisi pe sang chale sar mera nishana raha qadam qadam pe mili garche sarsar-e-khun-rez hujum-e-gul usi andaz se rawana raha adu-e-dost kabhi mujh ko mo'atabar na hua azal se apna ye mear-e-dostana raha jo qadar-e-fan ka tayyun karo to dhyan rahe isi sabab se adu mera ek zamana raha jo baat kahni hui hum ne barmala kah di 'suhail' shikwa kisi se na ghaebana raha