wo qarib bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai wahi justuju wahi be-khudi wahi zindagi ka nizam hai talab irtiqa ki asas hai ki gham-e-asiri ka nam hai ki jahan chaman hai wahin qafas jahan dana hai wahin dam hai hama-waqt mujh ko yahi hai gham ki unhen hai mera khayal kam magar is ki fikr kabhi nahin ki mera junun bhi to kham hai mujhe mai-kade mein kisi ne kal ye bataya maslak-e-ashiqi jise baada wajh-e-surur ho use baada pina haram hai ye hai shan-e-mahfil-e-ashiqi ki tawil arsa guzar ke bhi wahi but-kade ki si subh hai wahi mai-kade ki si sham hai ye hai kaisa aalam-e-be-khudi nahin hosh un ki raza ka bhi jo yahi hai 'kaif' junun-e-gham to junun-e-gham ko salam hai