wo rabt-e-bahami nahin wo pyar bhi nahin pahli si wo nigah-e-tarahdar bhi nahin ab haal dil ka laeq-e-izhaar bhi nahin jite hain aur jine ke aasar bhi nahin har-har nafas mein zist ke hai aarzu-e-shauq kam dilkashi mein ishq ka aazar bhi nahin thi jaan ek amanat-e-yar us ko saunp di ab zindagi ke dosh pe ye bar bhi nahin is daur ki ajib hai tanzim dosto fankar wo bana hai jo fankar bhi nahin daur-e-hawas mein koi bhi pursan-e-gham nahin apnon se kya shikayat-e-aghyar bhi nahin duniya mein ek tera sahaara hai ai khuda tanha hun koi yar-o-madad-gar bhi nahin haq baat 'dard' ahl-e-khirad ko na ho qubul 'ghaalib' ke log itne taraf-dar bhi nahin