zindagi ke mathe par aai jab shikan yaro sarfarosh uthte hain bandh kar kafan yaro shakh sa badan yaro phul sa dahan yaro koi mujh se puchhe to us ka bankpan yaro saz-e-asr-e-hazir par naghma-e-kuhan yaro hosh mein ab aa jao mere ham-watan yaro gardish-e-zamana bhi rahat-e-zamana bhi rabt-e-shoala-o-shabnam dil ki anjuman yaro qatra-qatra khun-e-dil aankh se tapakta hai aaj nashtar-e-gham ki badh gai chubhan yaro ye jo 'dard' hai rukh par ashk-e-khun ki lali hai bas gaya hai aankhon mein ek gul-badan yaro