wo ram-shiar mera shokh-dida aaya tha wo ishwa-sanj kashida kashida aaya tha kiya hai chashm-e-murawwat ne aaj mail-e-mehr main un ki bazm se kal aabdida aaya tha jo raaz-e-dil tha wo khalwat mein sab kaha hum ne koi bhi sath nahin tha jarida aaya tha wo murgh-e-bismil-e-ulfat fida-e-husn tera ba-shakl-e-tair-e-rang-e-parida aaya tha wo tere jazb-e-mohabbat ka shauq-e-mastana junun-libas gareban darida aaya tha tumhaara bulbul-e-kashmir shefta shaida bahaar-e-jalwa liye ek qasida aaya tha sitam-zarif hain pir-e-mughan bhi mai-khwaro kahan surur mein 'saqi' na-dida aaya tha