poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh ai dost meri tab-e-nazar aazma ke dekh phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz kanton ki samt bhi to nigahen utha ke dekh leta nahin kisi ka pas-e-marg koi nam duniya ko dekhna hai to duniya se ja ke dekh dil mein hamare dard zamane ka hai nihan paiwast dil mein saikdon paikan jafa ke dekh jo baada-khwar-e-gham hain unhen bhi kabhi kabhi saqi sharab-e-husn ke saghar pila ke dekh ban jaega kabhi na kabhi dard hi dawa 'asad' ke dil mein dard ki shiddat badha ke dekh