wo rang nahin shauq ka wo bas nahin hai kuchh hai jo tujhe pa ke mere pas nahin hai ek aaina hai aur do hairat-zada aankhen chehra bhi koi dard ka akkas nahin hai ya koi kami hogi mere ghuncha-e-dil mein ya mujh ko teri aab-o-hawa ras nahin hai jo chahe wahi mauj-e-hawa likh ke chali jae kuchh bhi ho ye dil kaghaz-o-qirtas nahin hai patthar se gurezan ho to ye soch lo pahle daman mein koi reza-e-almas nahin hai sahra kabhi phulon se nahin mangta shabnam pyasa hai magar kahta hai ab pyas nahin hai kuchh roz mere sath basar kar ke to dekho phir shauq se kahna mujhe ehsas nahin hai aabaad hai aur hai adam-abaad bhi duniya basti mein koi dusra ban-bas nahin hai ya koi 'kafil' aalam-e-barzakh hai zamin par ya sans faqat surat-e-anfas nahin hai