tishnagi honton pe rakhna aur samundar sochna mujh ko pagal kar gaya hai ek khud-sar sochna hont us ne si liye to phir mujhe bhi umr bhar chup ke mausam katna hain aur barabar sochna sare aaine saja kar soch ki dahliz par ek din meri tarah phir tum bhi patthar sochna sard sochon ne use bhi kar diya hai munjamid meri aankhon mein basa tha ek manzar sochna chhanw sab ki ek si hai mukhtalif hain saeban rah-guzar mein bhi usi ka saya-e-dar sochna ek lamha katne mein umr sari lag gai us ki jaanib dekhna aur zindagi bhar sochna apne hisse mein yahi sochen to aai hain 'kafil' sochna aur fursaton mein yunhi aksar sochna