wo rangat tu ne ai gul-ru nikali nichhawar ko gulon ne bu nikali mizaj-e-bu-e-sumbul kar ke mauquf saba nai nikhat-e-gesu nikali na thi jaane ki us tak rah dil ki chhuri se chir ke pahlu nikali nikasi jab na dekhi yas dil ki baha ke aath aath aansu nikali hamari ruh ek rashk-e-chaman ne sungha ke phul ki khushbu nikali mere sayyaad ne bulbul ki mayyat qafas se tod ke bazu nikali kiya us se jo khush-chashmi ka dawa teri jaegi aankh aahu nikali sulaimani dikha di shan tum ne pari-ru mang wo khush-ru nikali nikala husn ka arman tu ne meri hasrat na ai dil-ju nikali chaman mein bhini bhini bu ne un ki na basne di gai shabbu nikali dahan-e-zakhm se talwar chumi ba-shakl-e-bosa-e-abru nikali qayamat ka shabab us ne nikala 'sharaf' changez-khani khu nikali