na jaane sehr ye kya tu ne chashm-e-yar kiya ki main ne hosh ke jame ko tar-tar kiya fusun ajib ye ai mausam-e-bahaar kiya ki khar-zar ko ham-rang-lala-zar kiya mahak raha hai har ek gul ka jama-e-rangin saba ne bagh mein kya zikr-e-zulf-e-yar kiya na puchho pichhle pahar apni yaad ka aalam tumhaara zikr sitaron se bar bar kiya nasim-e-subh ne aa kar wo ragni chhedi har ek phul ne kante ko jhuk ke pyar kiya mere jahan-e-mohabbat mein pad gai halchal sukun-e-dil ne mujhe aur be-qarar kiya bhar aae dida-e-anjum mein ashk-e-majburi jigar ko tham ke jab hum ne zikr-e-yar kiya tadap ke aabla-pa ek bar phir utthe ye kisi ne tazkira-e-amad-e-bahaar kiya guzar chuki hain jo 'ehsan' un ki mahfil mein unhen qarar ki ghadiyon ne be-qarar kiya