wo raushni dimagh ko dena khayal ki hajat rahe mujhe na tumhaare visal kuchh yun fana hua hun mohabbat ki aag mein duniya ko de chala hun kahani malal ki wo meri khamushi ko badhata hai hashr se rakhta hai laj mere lab-e-be-sawal ki sailab ki shikast pe hansta hua ye shahr aur aasman pe qaus-e-quzah bhi kamal ki har dam hawa ke sath safar ki tarang mein kaisi hayat hai meri khak-e-faal ki 'bedi' mariz dil ka hun aur dard ka safir mar jaunga na us ne agar dekh-bhaal ki