hijr mein bhi ye meri sans agar baqi hai is ka matlab hai mohabbat mein asar baqi hai chhod ye baat mile zakhm kahan se tujh ko zindagi itna bata kitna safar baqi hai tum sitamgar ho na ghabrao meri haalat par zakhm sahne ka abhi mujh mein hunar baqi hai hijr ki aag mein jalne se nahin darti main ishq mujh mein abhi be-khauf-o-khatar baqi hai mere tinke bhi hue rakh to kya harj bhala aatish-e-ishq bata kitna ye ghar baqi hai sans lena hi to 'shahin' nahin hai jiwan dhund kar lao meri ruh agar baqi hai