wo raushni hai ki aankhon ko kuchh sujhai na de sukut wo ki dhamaka bhi ab sunai na de pahunch gaya hun zaman o makan ke malbe tak meri ana mujhe ilzam-e-na-rasai na de agar kahin hai to dil chir kar dikha mujh ko tu apni zat ka irfan de khudai na de azal ke tutte rishton ki is kashakash mein pukar aisi ada se mujhe sunai na de nikal chuka hun main apni kaman se aage talluqat-e-guzishta ki ab duhai na de