wo rind kya ki jo pite hain be-khudi ke liye surur chahiye wo bhi kabhi kabhi ke liye ye kya ki bazm mein shamen jala ke baithe ho kabhi milo to sar-e-rah dushmani ke liye awadh ki sham rafiqon ko mah-jabinon ko har ek chhod ke aae the bambai ke liye magar ye kya ki ba-juz-dard kuchh hamein na mila ajib shahr hai ye ek ajnabi ke liye hazar chahen na chutegi hum se ye duniya yahin rahenge mohabbat ki be-kasi ke liye koi panah nahin koi ja-e-amn nahin hayat johd-e-musalsal hai aadmi ke liye ye kah raha hai koi apne jaan-nisaron se kuchh aur chahiye ab rasm-e-ashiqi ke liye kahan kahan na pukara kahan kahan na gae bas ek tabassum-e-pinhan ki raushni ke liye