waqt ke taqazon ko is tarah bhi samjha kar aaj ki gawahi par mat qayas-e-farda kar tere har rawayye mein bad-gumaniyan kaisi jab talak hai duniya mein e'tibar-e-duniya kar jis ne zindagi di hai wo bhi sochta hoga zindagi ke bare mein is qadar na socha kar harf o lab se hota hai kab ada har ek mafhum be-zaban aankhon ki guftugu bhi samjha kar ek din yahi aadat tujh ko khun rulaegi tu jo yun parakhta hai har kisi ko apna kar ye badalti qadren hi hasil-e-zamana hain bar bar mazi ke yun waraq na ulta kar khun rulaenge manzar mat qarib aa 'mohsin' aaina-kada hai dahr dur se tamasha kar