wo ru-e-kitabi to hai quran hamara kahte hain jise ishq hai iman hamara hathon ki shikayat hai hamein dasht-e-junun mein panw mein ulajhta hai gareban hamara har subh dikhata hai hamein jalwa pari ka baala-e-hawa-dar sulaiman hamara hain mardum-e-gham-dida ke danton ki tarah band misl-e-dahan-e-nang hai zindan hamara hum khana-kharabon se mile kya koi aa kar darwaza-e-uftada hai darban hamara rahta hai hamein dhyan tumhaara hi hamesha tum ko nahin aata hai kabhi dhyan hamara aa jae abhi jaan mein jaan aao agar tum tan hijr mein be-jaan hai ai jaan hamara be-khatke tawahhush mein na kyun daudte phiriye pahlu mein hai be-khar bayaban hamara li jaan khuda ne kisi but ne na kiya qatl nikla na dam-e-marg bhi arman hamara li hum ne bala apne hi sar sab ko bachaya ai jaan hai aghyar pe ehsan hamara har bait mein ek shahid-e-mani ki hai taswir 'nasikh' hai muraqqa nahin diwan hamara