salamat aae hain phir us ke kucha-o-dar se na koi sang hi aaya na phul hi barse main aagahi ke ajab mansabon pe faez hun ki aap apna hi munkir hun apne andar se na jaane kis ko ye eazaz-e-fan mila hoga tamam shahr mein bikhre hue hain patthar se ab is ke mauj-o-talatum mein dubne se na dar guhar bhi tujh ko mile the usi samundar se ye ehtimam-e-charaghan bhi kis kamal ka hai diye jale hain to main bujh gaya hun andar se ajab saman tha ki ab tak hain zakhm zakhm aankhen main kor-chashm bhala aagahi ke manzar se