wo ruthi ruthi ye kah rahi thi qarib aao mujhe manao ho mard to aage badh ke mujh ko gale lagao mujhe manao main kal se naraaz hun qasam se aur ek kone mein ja padi hun han main ghalat hun dikhao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao tumhaare nakhron se apni an-ban to badhti jaegi sun rahe ho tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanaw mujhe manao tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara pala pada hua hai muaf kar dungi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao mujhe yun apne se dur kar ke na khush rahoge ghurur kar ke so mujh se kuchh fasle pe rakkho ye rakh-rakhaw mujhe manao mujhe batao ki meri naraazgi se tum ko hai farq koi main kha rahi hun na-jaane kab se hi pech-taw mujhe manao mujhe pata hai mujhe manane ko tum bhi bechain ho rahe ho to kya zaruri hai tum bhi itne bharam dikhao mujhe manao mera irada to pahle hi se hai man jaane ka sach bataun tum apne bhar bhi tamam harbon ko aazmao mujhe manao bahut bure ho meri dikhawe ki nind ko bhi tum asl samjhe kahin se sikho piyar karna mujhe jagao mujhe manao tum apne andaz mein ki jaise chadha ke rakhte ho aastinen to main tumhaara radif wali ghazal sunao mujhe manao khilaf-e-ma'mul mud achchha hai aaj mera main kah rahi hun ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaw-taw mujhe manao main parle darje ka hat-dharam tha ki phir bhi us ko mana na paya so ab bhi kanon mein gunjta hai mujhe manao mujhe manao