sukut badhne laga hai sada zaruri hai ki jaise habs mein taza hawa zaruri hai phir is ke baad har ek faisla sar aankhon par magar gawah ka sach bolna zaruri hai bahut qarib se kuchh bhi na dekh paoge ki dekhne ke liye fasla zaruri hai tum apne bare mein mujh se bhi puchh sakte ho ye tum se kis ne kaha aaina zaruri hai gurez-pai ke mausam ajib hote hain safar mein koi mizaj-ashna zaruri hai hawala mang raha hai meri mohabbat ka jo 'fauz' mujh se ye kahta tha kya zaruri hai