wo sabr-o-sukun wo zabt-e-fughan ai dida-e-tar hum kho baithe shab bhar ki kamai hae ghazab hangam-e-sahar hum kho baithe sarmaya-e-ulfat the mere kuchh khun ke qatre kuchh aansu ek waqt magar aisa aaya wo lal-o-gohar hum kho baithe gham hai ki subut-e-ishq-o-wafa waqt aane pe hum denge bhi to kya jazbaat pe qabu rah na saka ashkon ke guhar hum kho baithe ifraat-e-alam se gar hansna bhule to ye koi baat nahin hum par ye zamana hans dega rona bhi agar hum kho baithe har rahbar-e-rah-e-ulfat ki taqlid ka ye anjam hua jis rah mein mil jati manzil wo rahguzar hum kho baithe jazbaat mein jab tak garmi thi chilman mein na larzish tak aai afsos ki ab parda uttha jab tab-e-nazar hum kho baithe ai 'nur' shab-e-furqat ki qasam mahrumi-e-qismat par apni rote to hain par ab rone ka andaz magar hum kho baithe