wo sach ke chehre pe aisa naqab chhod gaya rukh-e-hayat pe jaise azab chhod gaya natija koshish-e-paiham ka yun hua ulta main aasman pe mauj-e-sarab chhod gaya wo kaun tha jo meri zindagi ke daftar se huruf le gaya khali kitab chhod gaya bahaar ban ke wo aaya gaya bhi shan ke sath ki zard patton pe rang-e-gulab chhod gaya mere lahu mein jo aaya tha mehman ban kar meri ragon mein wo ek aaftab chhod gaya gaya to sath wo leta gaya har ek naghma khala ki god mein tuta rubab chhod gaya mila na jazba-e-tashkik ko libas koi wo har sawal ka aisa jawab chhod gaya bikherta hai 'karamat' jo dard ki kirnen wo khwab zehn mein ek mahtab chhod gaya