bala hi ishq lekin har bashar qabil nahin hota bahut pahlu hain aise bhi ki jin mein dil nahin hota nishan-e-be-nishani mit nahin sakta qayamat tak ye naqsh-e-haq jafa-e-dahr se baatil nahin hota jahan mein na-umidi ke siwa ummid kya mani sabhi kahte hain lekin dil mera qail nahin hota tadapna kis ka dekhoge jo zinda hon to sab kuchh ho bala-e-ishq ka mara kabhi bismil nahin hota sadaen de raha hun muddaton se ahl-e-marqad ko sabhi sote hain lekin yun koi ghafil nahin hota sarishk-e-gham ki had sham-o-sahar mein mil nahin sakti umandte hain jo ye dariya to phir sahil nahin hota dua de ishq ko ai zulm tu bhi zeb-e-pahlu hai wagarna kaisa hi paikan ho lekin dil nahin hota faramoshi hai lekin yaad rakhta hai tere dar ko dar-e-aghyar par 'saqib' kabhi sail nahin hota