wo saghar-e-shabab chhalakta hua hai kya aankhon se ye tarawish-e-rang-e-ada hai kya tera gunahgar hun tere siwa hai kya apni taraf to dekh mujhe dekhta hai kya jab dil hi bujh gaya to kisi se gila hai kya jab main nahin raha to phir achchha bura hai kya uzr-e-jafa ke parde mein fikr-e-jafa hai kya zalim phir imtihan-e-umid-e-wafa hai kya dar-parda phir ye ranjish-e-taqat gusil hai kyon be-parda phir ye nazish-e-sabr-azma hai kya phir ye taghaful-e-sitam-e-be-hijab kyon phir ye tajahul-e-nigah-e-ashna hai kya jadu taraazi-e-sukhan-e-dil-nashin hai kyon nairang-e-wada-ha-e-tasalli faza hai kya afsun-e-shauq gosh-e-do-alam mein phunkna phir mangna kahin dil-e-be-muddaa hai kya khunaba-e-sarishk pe yun khak dalna phir chhedna ki surkhi-e-rang-e-hina hai kya pahle kisi ke nakhun-e-tadbir todna phir puchhna ki uqda-e-band-e-qaba hai kya mahshar bhi ek safha-e-bazm-e-khayal hai aamal-nama-e-nigah-e-surma sa hai kya sailab-e-atishin bina musa hai maujzan khun-e-bahaar kya rag-e-mauj-e-saba hai kya dekho harif tana-e-dushman na ho saka tum jaante ho ye dil-e-be-muddaa hai kya tabir-e-rang-e-haal pe jita hun hae hae wo mujh se puchhte hain tumhein ho gaya hai kya talimأعأghair se bhi taghaful na chhodna hum yas par jiyenge umid-e-wafa hai kya aaina hai gawah ki hun mazhar-e-sifat ai husn-e-be-hijab mera puchhna hai kya teri taraf hain zahir-o-baatin khinche hue hasti ko chhod dekh adam mein raha hai kya shiraaza-e-wajud-o-adam hai teri kamar jo raaz khul gaya hai wahi chhup gaya hai kya qurban is bigad ke sadqe banaoge jo tujh pe mit gaya hai wahi ban gaya hai kya hai waqt-e-naza naqa-e-umr-e-rawan bhi garm hai hai shikast-e-rang-e-sada-e-dara hai kya kyon dosti ke parda se aati hai bu-e-ghair khalwat-gah-e-visal mein josh-e-haya hai kya majbur ho ke ghair ko apna bana liya zalim ki dushmani bhi mohabbat-faza hai kya toda hai tum ne ahd-e-mohabbat hazar bar aakhir shikast-e-shisha-e-dil ki sada hai kya ahbab qadr-dan hain sukhan-fahm ai 'wafa' phir tu bata ki teri ghazal ka sila hai kya