ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai aksar is tarah se bhi raat basar hoti hai main gham-e-shab ko basar karta hun mushkil se miyan shab guzarte hi kisi dukh se sahar hoti hai naseha kuchh to kami hogi teri baat mein bhi is liye teri nasihat be-asar hoti hai de to sakta hun jawaban main tujhe bhi gali mere kirdar ki tauhin magar hoti hai silsila hai ye mohabbat bhi mukafat hi ka jo idhar hoti hai haalat wo udhar hoti hai aate hain kitne hi dushwar marahil 'hamza' tai jo ki jae to tai rahguzar hoti hai