wo samne tha phir bhi kahan samna hua rahta hai apne nur mein suraj chhupa hua ai raushni ki lahr kabhi to palat ke aa tujh ko bula raha hai daricha khula hua sairab kis tarah ho zamin dur dur ki sahil ne hai nadi ko muqayyad kiya hua ai dost chashm-e-shauq ne dekha hai bar-ha bijli se tera nam ghata par likha hua pahchante nahin use mahfil mein dost bhi chehra ho jis ka gard-e-alam se ata hua is daur mein khulus ka kya kaam ai 'shakeb' kyun kar chale bisat pe mohra pita hua