wahi jhuki hui belen wahi daricha tha magar wo phul sa chehra nazar na aata tha main laut aaya hun khamoshiyon ke sahra se wahan bhi teri sada ka ghubar phaila tha shab-e-safar thi qaba tirgi ki pahne hue kahin kahin pe koi raushni ka dhabba tha ye aadi-tirchhi lakiren bana gaya hai kaun main kya kahun mere dil ka waraq to sada tha main khak-dan se nikal kar bhi kya hua aazad har ek taraf se mujhe aasman ne ghera tha idhar se bar-ha guzra magar khabar na hui ki zer-e-sang khunuk paniyon ka chashma tha wo us ka aks-e-badan tha ki chandni ka kanwal wo nili jhil thi ya aasman ka tukda tha main sahilon mein utar kar 'shakeb' kya leta azal se nam mera paniyon pe likkha tha