wo sanam jab sun basa dida-e-hairan mein aa

wo sanam jab sun basa dida-e-hairan mein aa
aatish-e-ishq padi aql ke saman mein aa

naz deta nahin gar rukhsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zar-e-haya dil ke gulistan mein aa

aish hai aish ki us mah ka khayal-e-raushan
shama raushan kiya mujh dil ke shabistan mein aa

yaad aata hai mujhe wo do gul-e-bagh-e-wafa
ashk karte hain makan gosha-e-daman mein aa

mauj-e-betabi-e-dil ashk mein hui jalwa-numa
jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshan mein aa

nala-o-ah ki tafsil na puchho mujh sun
daftar-e-dard basa ishq ke diwan mein aa

panja-e-ishq ne betab kiya jab sun mujhe
chaak-e-dil tab sun basa chaak-e-gareban mein aa

dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-khat mein lab-e-lal
rang-e-yaqut chhupa hai khat-e-raihan mein aa

husn tha parda-e-tajrid mein sab sun aazad
talib-e-ishq hua surat-e-insan mein aa

shaikh yahan baat teri pesh na jawe hargiz
aql kun chhod ke mat majlis-e-rindan mein aa

dard-mandan ko ba-juz dard nahin said murad
ai shah-e-malk-e-junun gham ke bayaban mein aa

hakim-e-waqt hai tujh ghar mein raqib-e-bad-khu
dew mukhtar hua mulk-e-sulaiman mein aa

chashma-e-ab-e-baqa jag mein kiya hai hasil
yusuf-e-husn tere chah-e-zanakhdan mein aa

jag ke khuban ka namak ho ke namak-parwarda
chhup raha aa ke tere lab ke namak-dan mein aa

bas ki mujh haal sun ham-sar hai pareshani mein
dard kahti hai mera zulf tere kan mein aa

gham sun tere hai tarahhum ka mahal haal-e-'wali'
zulm ko chhod sajan shewa-e-ehsan mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close