ghata hai bagh hai mai hai subu hai jam hai saqi ab is ke baad jo kuchh hai wo tera kaam hai saqi umid-e-wasl rakhna ek khayal-e-kham hai saqi bura to kuchh nahin lekin mazaq-e-am hai saqi falak dushman mukhalif gardish-e-ayyam hai saqi magar hum hain teri mahfil hai daur-e-jam hai saqi jo apni har nazar se ek khuda takhliq karte hain unhen dair o haram si chiz se kya kaam hai saqi udasi sard aahen karb hasrat dard majburi mohabbat talkhiyon ka ek shirin nam hai saqi jinhen shauq-e-talab hai aur jinhen zauq-e-tajassus hai unhen koh-o-bayaban manzil-e-yak-gam hai saqi