wo sanwarenge mujhe kya gul-e-zebai tak

wo sanwarenge mujhe kya gul-e-zebai tak
ras aai na jinhen meri pazirai tak

haar ka sadma hua hai ki hai sazish koi
khush to thi khub mohabbat meri paspai tak

phir to mumkin hai kai aur bhi gham niklenge
baat pahunchegi agar dast-e-masihai tak

ishq to ishq hai mat tah mein tum is ki utro
dubne wale bhi pahunche nahin gahrai tak

ishq ki rah mein kitni hi lakiren khincho
aag pahunchegi bahar-haal tamannai tak

ab khuda jaane guzar jaegi mujh par kya kya
wo mujhe chhod gaya hai meri tanhai tak

tu kahan hadd-e-sukhanwar ki hai zad mein 'arif'
sirf mahdud hai tu qafiya-paimai tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close