sawad-e-sham-e-safar ka malal kuchh bhi nahin

sawad-e-sham-e-safar ka malal kuchh bhi nahin
karun main arz bhi kya arz-e-haal kuchh bhi nahin

dil-e-hazin ka bayan lakh kijiye bhi to kya
agarche us ko hamara khayal kuchh bhi nahin

bala ki aarzu pale hue hai dil ye hanuz
is aarzu ke liye mah-o-sal kuchh bhi nahin

nishan-e-khalwat-e-shab dil pe naqsh hai lekin
fareb-e-ishq ka hum ko malal kuchh bhi nahin

khamoshiyan bhi bahut kuchh bayan karti hain
bayan-e-ishq ko lafz-o-khayal kuchh bhi nahin

sunenge aap bhi ek din dil-e-shikasta se
uruj kuchh bhi nahin hai zawal kuchh bhi nahin

sawal zehn mein yun to hazaron hain 'arif'
magar ye kya hai ki us se sawal kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close