wo sath aaya to meri udan baith gai na jaane kya hua mujh mein thakan baith gai phir is ke baad parinde zamin pe girne lage kisi ki aah sar-e-asman baith gai qarib tha ki talluq bahaal ho jata ajab khamoshi magar darmiyan baith gai haweli chhod ke sab log chal diye lekin har ek hujre mein ek dastan baith gai bulandiyon pe pahunch kar main khush bahut thi magar zamin ki samt jo dekha to jaan baith gai zaban-daraazon se 'nusrat' kahan talak ladti so dil pe sabr ki rakh kar chatan baith gai