yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi mujhe laga tha koi hai magar na tha koi thi ek bhid magar ham-safar na tha koi safar ke waqt judai ka dar na tha koi wo raushni ki kiran aai aur chali bhi gai khula hua meri basti ka dar na tha koi bas ek bar wo bhula tha ghar ka darwaza phir us ke jaisa yahan dar-ba-dar na tha koi jhulas ke rah gae aangan mein dhup se paude ki saya-dar purana shajar na tha koi ye aur baat raha be-niyaz mahfil mein yun mere haal se wo be-khabar na tha koi