wo sau sau atkhaton se ghar se bahar do qadam nikle bala se us ki gar us mein kisi muztar ka dam nikle kahan aansu ke qatre khun-e-dil se hain baham nikle ye dil mein jama the muddat se kuchh paikan-e-gham nikle mere mazmun-e-soz-e-dil se khat sab jal gaya mera qalam se harf jo nikle sharar hi yak-qalam nikle nikal ai chaaragar tu shauq se lekin sar-e-paikan udhar nikle jigar se tir udhar qalib se dam nikle tasawwur se lab-e-lalin ke tere hum agar ro den to jo lakht-e-jigar aankhon se nikle ek raqam nikle nahin darte agar hon lakh zindan yar zindan se junun ab to misal-e-nala-e-zanjir hum nikle jigar par dagh lab par dud-e-dil aur ashk daman mein teri mahfil se hum manind-e-shama subh-dam nikle agar hota zamana gesu-e-shab-rang ka tere meri shab-diz sauda ka ziyaada-tar qadam nikle kaji jin ki tabiat mein hai kab hoti wo sidhi hai kaho shakh-e-gul-e-taswir se kis tarah kham nikle shumar ek shab kiya hum ne jo apne dil ke daghon se to anjum charkh-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle khuda ke waste zahid utha parda na kabe ka kahin aisa na ho yan bhi wahi kafir-sanam nikle tamanna hai ye dil mein jab talak hai dam mein dam apne 'zafar' munh se hamare nam us ka dam-ba-dam nikle