wo shab ke sae mein fasl-e-nashat kaTte hain

wo shab ke sae mein fasl-e-nashat katte hain
hum apni zat ke hujre mein raat katte hain

ajib log hain is ahd-e-be-murawwat ke
zaban kat na paen to baat katte hain

ye lamha ahl-e-mohabbat pe sakht bhaari hai
ye lamha ahl-e-mohabbat ke sath katte hain

thakan se pura badan chur chur hota hai
pahad katte hain hum ki raat katte hain

ye rang le ke kahan aa gae ho tum 'azhar'
yahan to log musawwir ke hath katte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close