wo shab-shikan se naya aaftab nikla hai lahu ki shakh pe tanha gulab nikla hai meri kitab mein jis ka koi nishan bhi nahin usi ke nam magar intisab nikla hai jahan jahan mujhe chaha tha tu ne kharch kiya isi lihaz se mera hisab nikla hai na saikdon na hazaron na lakh ki baaten wo intikhab mein bhi intikhab nikla hai jo dusron ke taaqub mein roz-o-shab kate usi ke ghar se naya ehtisab nikla hai shajar shajar hue shadab phul phal aae nae safar pe agar inqalab nikla hai kuchh aise waqt ne luta shabab tak us ka usi ki khoj mein khana-kharab nikla hai