wo shakh-e-gul ki jo aawaz-e-andalib bhi thi hui jo khushk to mere liye salib bhi thi dayar-e-sang mein sar phodti phiri barson meri sada ki jo is daur ki naqib bhi thi jo shama dur thi us ne faqat dhuan hi diya usi ki lau se jala hun jo kuchh qarib bhi thi sarisht-e-husn ajab hai ki wasl ke hangam nigah-e-yar mein kaifiyyat-e-raqib bhi thi sakun kahan ki main aashob-e-fikr rakhta hun jo mahr tha to tamazat mera nasib bhi thi