zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein jama hain tere kharidar tere kuche mein dekh kar tujh ko qadam uth nahin sakta apna ban gae surat-e-diwar tere kuche mein panw phailae zamin par main pada rahta hun surat-e-saya-e-diwar tere kuche mein go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum roz ho aate hain sau bar tere kuche mein ek hum hain ki qadam rakh nahin sakte warna aindate phirte hain aghyar tere kuche mein pasbanon ki tarah raaton ko be-tabi se nale karte hain hum ai yar tere kuche mein aarzu hai jo marun main to yahin dafn bhi hun hai jagah thodi si darkar tere kuche mein gar yahi hain tere abru ke ishaare qatil aaj-kal chalti hai talwar tere kuche mein haal-e-dil kahne ka 'nasikh' jo nahin pata bar phenk jata hai wo ashaar tere kuche mein