wo shakhs jo nazar aata tha har kisi ki tarah hisar tod ke nikla hai raushni ki tarah sada mein dhal ke labon tak jo harf aaya tha ab us ka zahr bhi dasta hai khamushi ki tarah ye sal tul-e-masafat se chur chur gaya ye ek sal to guzra hai ek sadi ki tarah tumhi koi shajar-e-saya-dar dhund rakho ki wo to apne liye bhi hai ajnabi ki tarah ye ahd tut raha hai nae ufuq ke liye hayat dal chuki hai khud-agahi ki tarah