ye ruashni-e-taba dikhane ki aarzu

ye ruashni-e-taba dikhane ki aarzu
achchhi nahin bala ko bulane ki aarzu

jo gham mile gale se lagane ki aarzu
rasm-o-rah-e-hayat nibhane ki aarzu

ye bhi bhala hai koi thikane ki aarzu
har naqsh-e-arzu ko mitane ki aarzu

sahra ki sakht dhup mein jalte hue badan
bar-e-gham-e-hayat uthane ki aarzu

har zawiye se husn-e-badan dekhne ka shauq
rakhte hain log aaina-khane ki aarzu

ye khwahishen ye jehd-e-musalsal ye daud-dhup
naqsh-o-nigar-e-zist banane ki aarzu

apni shanakht ye hai ki ghar hai na dar magar
diwar-o-dar pe nam likhane ki aarzu

ye qurbaton ki raat ye jalte hue badan
niklegi aaj ek zamane ki aarzu

badnam ho chuka hai ye fann-e-shareef bhi
kahne ka shauq hai na sunane ki aarzu

apni mata-e-gham ko liye hum bhi laut aae
har shakhs ko thi apni sunane ki aarzu

jis haal mein hain sabir-o-shakir hain 'taj' hum
khone ka koi gham hai na pane ki aarzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close