wo shakhs jo zakhmon ki rida de ke gaya hai is shahr mein jine ki saza de ke gaya hai sadiyon se main sannaton ki basti mein khada hun ye kaun mujhe sang-e-sada de ke gaya hai aaya tha koi le ke ujalon ka sahifa be-nur charaghon ko ziya de ke gaya hai raste mein shajar hai na kahin yaad ka saya wo jaane mujhe kaisi dua de ke gaya hai khwabon ke darichon se guhar lutne wala kuchh meri talab se bhi siwa de ke gaya hai socha tha bujha dega mere soz-e-darun ko dekha to wo shoalon ko hawa de ke gaya hai wo phul sa chehra ki jo kal sath tha mere ek dard mere dil ko naya de ke gaya hai kis soch mein dube ho pareshan ho 'khalid' wo shakhs to jine ki dua de ke gaya hai